Monday, April 17, 2006

Anand Srot Beh Raha Aur Tu Udaas Hai






















Anand srot beh raha aur tu udaas hai
Achraj hai ke jal mein reh ke machli ko pyaas hai

Phoolon mein jyon suwas eekh mein mithas hai
Ishwar ka tyon kan-kan mein vaas hai
Anand srot beh raha aur tu udaas hai
Achraj hai ke jal mein reh ke machli ko pyaas hai

Gyan chakshu khol ke tu dekh to sahi
Jisko tu dhundta wo sada tere paas hai
Anand srot beh raha aur tu udaas hai
Achraj hai ke jal mein reh ke machli ko pyaas hai

Kuch to samay nikaal aatm-shudhi ke liye
Nar janm ka udheshya na keval vilaas hai
Anand srot beh raha aur tu udaas hai
Achraj hai ke jal mein reh ke machli ko pyaas hai

Anand Moksh ka na paa sakegaa tab talak
Ke jab talak tu indriyon ka daas hai
Anand srot beh raha aur tu udaas hai
Achraj hai ke jal mein reh ke machli ko pyaas hai


No comments: